Dukhi :(

20 10 2007

Aaj main thoda dukhi types mood mai hoon…  Ab dukhi kyun hoon… yeh main nahin bata sakta. Bahut choti si kahani hai, but this kahani forms an important part of my life nowadays.

Vaise mera dukh pal dar pal badta ja raha hai… and lag raha hai ki bas kisi pal… phat jayega mera dil is dukh ke kaaran… :( :( dard hona tu shuru ho gaya hai….

Kaafi kaam kara hai aaj mene and laga diya hai finally sab crawl pe… kam se kam do din tu chalega crawl… ab finally mera peace marne ka time aaya tu yeh dukhi feeling aa gyai main mere saaf swach man mai….

Pata abhi subah ke 6 baj rahe hai… mera sone a bilkul man nahi kar raha… bas lag raha hai ki kucch bhi kar llon and so uoon na…

yaar aisa kyun hota hai life mai… man bahut bhari bhari ho jaata hai… lagta hai ki rona chahiye… but aasoon aake nahin dete saale…. aur pata hai aise time pe koi gam baatne ke liye bhi nahin milta…. vaise mai kiske saath baat sakta hoon isse.. ek ko chod ke aur koi nahin…

Koi baat nahin magar… aaj dukhi hai tu kya hua… baaki time tu mai generally khush rehta hoon… kabhi kabhi dukhi bhi hona chahiye… varna khushi ki importance chali jaati hai…

chalo jao ab… lemme enjoy my dukh… aur haan agar mai heart attack se mar gaya tu iska jimmedar bas IIT Kgp hoga…. yaad rakhna…

tata


Actions

Information

6 responses

20 10 2007
naween

“kabhi kabhi dukhi bhi hona chahiye… varna khushi ki importance chali jaati hai…”

seriously… hamesha khush rahne par aadmi ko khushi kii burii aadat pad jaati hai!!

20 10 2007
romram

:)

22 10 2007
arpit jain

“ek ko chhod kar aur koi nahi”
rekha rani ??

22 10 2007
romram

kaunsi vaali rekha rani???? :)

22 10 2007
arpit jain

accha woh bhi bahut saari waali hai kya ..??
pata nahi tha mujhe ..
wohi waali jis par tu din bhar line maarta hai ..
and raat bhar uske khayaalo mein khoya rehta hai ..

23 10 2007
romram

nahi nahin… vo tu rekha rani nahin hai… vo koi aur hai… information network accha karo tum apna…. :D

Leave a comment